Thursday, July 16, 2009

Selected Sher ( Chuninda Ashaar )


786
LET US BEGIN IN THE NAME OF GREAT ALLAH WHO IS OMNIPOTENT, OMNISCIENT, OMNIPRESENT BUT INVISIBLE.

ALLAH IS GREATEST. ALLAH SAB SE BADA HAI.






KHUDI KO KAR BULAND ITNA KE HAR TADBEER SE PAHLE
KHODA BANDE SE KHUD PUCHHE BATA TERI RAZA KYA HAI

MITADE APNI HASTI KO AGAR KUCHH MARTABA CHAHE
KE DANA KHAK MEIN MILKAR GULE GULZAR HOTA HAI


EK HI SAF MEIN KHADE HO GAYE MAHMOOD-O –AYAZ
NA KOI BANDA RAHA NA KOI BANDA NAWAZ
BANDA-O, SAHEB-O, MUHTAJ-O, GHANI EK HUWE,
TERI SARKAR MEIN AAYE TO SABHI EK HUWE.


APNI HI KARNI KA PHAL HAI NEKIAN RUSWAIAN
AAP KE PEECHHE CHALEINGI AAP KI PARCHHAIAN

KI MOHAMMAD SE WAFA TUNE TO HUM TERE HAIN
YEH JAHAN CHEESE HAI KYA LAUH-O- QALAM TERE HAIN

TU AGAR MUJHE NAWAZ DE TO YEH TERA KARAM HAI WARNA
TERI RAHMATON KA BADLA MERI BANDAGI NAHIN HAI



HUWE MAR KE HUM JO RUSWA HUWE KYON NA GARQE DARIYA
NA KOI JANAZA UTHTA NA KOI MAZAR HOTA

KHODA KO BHOOL GAYE LOG FIKR-E- ROZI MEIN
KHYAL-E-RIZQ HAI RAZZAQUE KA KOI KHYAL NAHIN

MAIN MAREEZE ISHQE RASOOL HOON
MERA HABEEB HI MERA TABEEB HAI

SAB THE HAIRAAN PET PE AAQA KE PATTHAR DEKH KAR
PATTHAR HAIRAAN THA APNA MUQADDAR DEKH KAR

AMAL SE ZINDAGI BANTI HAI JANNAT BHI JAHANNUM BHI
YEH KHAKI APNI FITRAT MEIN NA NURI HAI NA NAARI HAI

BADI MUKHTASAR HAI YEH ZINDAGI, YAHI ZINDAGI HAI TAWEEL BHI
KOI YAADE HAQ MEIN GUZAAR DE , KOI SIRF SHAUQE GUNAAH MEIN

KISI KE ZAKHM KO MARHAM DIYA HAI TU NE
SAMAJH LO KE KHODA KI BANDAGI KI HAI TU NE

GAYA SHAITAN MARA EK SAJDE KE NA KARNE SE
AGAR LAKHON BARAS SAJDE MEIN SAR MARA TO KYA MARA

BAHUT KUCHH HAI TUJH MEIN “JAWED” LEKIN
TU APNE BAAP SE BEHTAR NAHIN HAI

HARFE SAADA JISE SAMJHI WOH PAHELI NIKLI
MERI DUSHMAN MERE BACHPAN KI SAHELI NIKLI

ZINDAGI SE DOOR HO JAOON, TERI AANKHON KA NOOR HO JAOON
TERI RADHA BANOON NA BANOON, TERI MIRA ZAROOR HO JAOON

AB TO HAD SE GUZAR KE DEKHEINGE, KUCHH NAYA KAAM KAR KE DEKHINGE
JISKI BAHON MEIN JEE NAHI PAAYE, US KI BAHON MEIN MAR KE DEKHEINGE

TALAQ TO DE RAHE HO BADE GUROOR KE SAATH
MERA SHABAB BHI LAUTA DO MEHAR KE SAATH

BUDHAPE MEIN MAT KARO ISHQ KI TAMANNAYEIN
FUSE BULBON MEIN RAUSHNIYAN NAHIN HOTI

NA GILA KAREINGE NA SHIKWAH KAREINGE
TUM SALAMAT RAHO BAS YAHI DUA KAREINGE

SABHI KO MUKAMMAL JEHAN NAHIN MILTA
KISI KO ZAMIN KISI KO AASMAN NAHIN MILTA

ZAMANA BADE GHAUR SE SUN RAHA THAA
HAMIN SO GAYE DASTAAN KEHTE KEHTE

JO FAQEERI MIZAJ RAKHTEIN HAIN
APNI THOKAR MEIN TAAJ RAKHTEIN

TU NAHIN TO YEH NAZARA BHI BURA LAGTA HAI
CHAAND KE PAAS SITARA BHI BURA LAGTA HAI
BEWAFAI KA CHALAN AAM HUA LOGON MEIN
AB TO WOH JAAN SE PYARA BHI BURA LAGTA HAI
JIN KO AANKHON MEIN BASANE KI TAMANNA KI THI
AB UN AANKHON KA ISHARA BHI BURA LAGTA HAI

KAT SAKA NA JO TEER SE TALWAR SE
KAT GAYA WHO PYAR KE EK WAR SE

RAKHTA HAI YOUN HI YAAD KISI KO KOI KAHAN
YEH TO BAS APNI APNI ZAROORAT KI BAAT HAI
TAAREEF KAR RAHE HAIN SABHI AAJKAL MERI
IS MEIN KOI ZARROR SEYASAT KI BAAT HAI



JISE SUN KE TUM NE APNA KABHI MUNH CHHUPA LIYA THA
MUJHE YAAD HAI ABHI TAK KAYEE SHER US GHAZAL KE
JO YEH JAANTE NAHIN HAIN KISE KAHTE HAIN QAYAMAT
UNHEIN EK DIN DEKHDO ZARA DO QADAM HI CHAL KE
TERI YAAD NE TO AAKAR KAI BAAR THAPKIYAAN DEEN
MERI RAAT PHIR BHI GUZRI YOUNHI KARWATEIN BADAL KE

KOI DHOKHA NAHIN AISA JO NA KHAYA HUM NE
ZINDAGI PHIR BHI TERA SAATH NIBHAYA HUM NE
KABHI MEHNAT KA SILA APNI NA PAYA HUM NE
CHHAON AURON KO MILI PED LAGAYA HUM NE
AEI WATAN SIRF TERI AABRU RAKHNE KE LIYE
KHOON QISTON MEIN KAI BAR BAHAYA HUM NE

KISI NE WAR KIYA HAI LAGAKE SEENE SE
HAMARA QATL KIYA HAI BADE QARINE SE

SHAADI KE LIYE JO TAIYAR HO GAYA
LAGTA HAI ZINDAGI SE BEZAAR HO GAYA

LOG HAR MOD PAR RUK RUK KAR SAMBHALTE KYON HAIN
ITNA DARTE HAIN TO PHIR GHAR SE NIKALTE KYON HAIN

HAMARE DOSTON MEIN KOI DUSHMAN BHI HO SAKTA HAI
YEH ANGREZI DAWAEN HAIN REACTION BHI HO SAKTA HAI

TUM JIYO AUR JIYO HAZAAR BARAS
YEH DUA HAI TO BUD DUA KYA HAI

WAQTE PEERI SHABAB KI BAATEIN
AISI HAIN JAISI KHAAB KI BAATEIN

HAMDARDIYAN FAZOOL HAIN DIL TOOTNE KE BAAD
KHAIRAT DEEJIYE NA HAMEIN LOOTNE KE BAAD

MAIN HOON AURAT MERE MUNH MEIN KOI LAGAAM NAHIN
MERI AAZADIYE FITRAT SE TUJHE KOI KAAM NAHIN
TUM HO SHAUHAR MERE KOI GULFAAM NAHIN
MAIN HOON BIWI TUMHARI KOI GHULAAM NAHIN
JOOTE BHAIYA SE NA KHILWAOON TO MERA NAAM NAHIN

Ghazal -1


BHED KE BHES MEIN DEKH LO BHEDIYE TO NAHIN
WARNA HASTI TUMHARI MITADENGE WOH,


AISE LOGON SE BACHKE RAHO TUM SADA
HAR WAQT APNA ULLU SEEDHA KARTE HAIN JO,


ZINDAGI KE MAQSAD KO SAMAJHTE HAIN JO
WAQT APNA KABHI BHI GAWANTE NAHIN,


TERI YAAD TO BUS EK KHAAB HAI
WAQT KE SAATH BHOOL JAAOONGA,


MAIN GUZRA HUA KAL NAHIN HOON
JO LAUT KAR PHIR NA AA PAAOONGA,


MAUT KE BAAD BHI YAAD RAKKHEGEE DUNIYA MUJHE
KYONKI SURAJ KI TARAH SHAFAQ CHHOD JAAOONGA.

Ghazal - 2


LAKH GHAM HO ZINDAGI MEIN, MUSKURATE JAIYE
RAAH GAR KAANTE BHARI HO, PHIR BHI GATE JAIYE


CHHODIYE UMMEED KA, DAMAN NAHIN HARGIZ KABHI
KIJIYE KHUD PE BHAROSA, AAGE BADHTE JAIYE


KAUN DETA HAI SAHARA, KAUN HAI APNA YAHAN
AAP HI APNA SAHARA, KHUD HI BANTE JAIYE


HAAR KAR BHI JEETNE KA, RAKHIYE DIL MEIN HAUSLA
AAP KA HAI KAAM LADNA, SIRF LADTE JAIYE


EK NA EK DIN MILEGI, AAP KO MANZIL ZAROOR
SHART BUS ETNI HAI KI, AAP THAK NA JAIYE

Ghazal -3

ASL KISKO KAHTE HAIN, NAQL KA ZAMANA HAI
AAJ KAL HAQEEQAT BHI, EK HASEEN FASANA HAI


RANJ -O- GHAM KI BASTI MEIN, YAANI BAZME PASTI MEIN
MUSKURA RAHA HOON MAIN, GARCHE FAIL MUJRIMANA HAI


BARQ KYA JALAYEGI, KHUD HI JAL NA JAYEGI
MERA ASHIANA PHIR BHI, MERA ASHIANA HAI



TEZ RAU TO EK PAL MEIN, THAK KAR BAITH JAYEINGE
DHEERE DHEERE CHALTE HAIN, JINKO DOOR JANA HAI


FUN KI BAAT KYA JANEIN, PAR HASEEN HAQEEQAT HAI
AAP KA TAKHAIYUL BHI, KITNA SHAIRANA HAI